Wo pehli mulaquat kuch is kadar asar kar gaye,
puri duniya se mujhe bekhabar kar gaye......
Na jaane us anjaane se chehre me kya jaadu tha,
mere dil pe mera hi nahi kaabu tha..........
Dekh ke uska muskurata hua chehra,
dil ko sukun sa milta hai...
kasak dil ki kuch is tarah se badhne lagti hai,
jaise baharo me koi naya phul khilta hai....
sambhalne ki kosis karta hu bahut,
par har kosis naakamiyaab ho jaati hai...
naa jaane dil ki baat,
jubaan tak aake hi kyu ruk jaati hai....
wo anjaana sa chehra apna sa lagne laga hai,
naa jaane kyu dil me ek ummid sa jaga hai...
meri khusiyo sekyu jalte hai duniya waale,
par pyar hai kya,bus jaante hai pyar karne waale....
Darta hai dil use khone se kyu,
tarapta hai dil uska hone ko kyu....
Har aarzo phir se taaza hone lagi hai,
man me ek kasak si jagi hai....
paa lu use ye khwaish hai meri,
ho jau uski duniya ye tamanna hai meri...
Sapna ye mera such ho jae,
Ae khuda,...Use bhi mujhse pyar ho jaye.......